page contents Whatsapp Status: Urdu Poetry

12 February 2016

Urdu Poetry


Aah ko chaaiye ik umar asar honay tak,
Kon jeeta hai teri zulf k sar honay tak...


Apni millat par qayas aqwaam e maghrib sy na kr,
Khaas hai tarkeeb main qoum e rasul e hashmi...


Aata hai nahi ghaiz jonhain faan e jahan par,
Ahkaam e shariyat ko wo krty hain Sabotage...


Us cheez ka kya zikr jo mumkin he nahi hai,
Sehra main kabhi saaya e dewaar na maango...


Is zouf main toh aata hai seenay sy lab talak,
Kehty hain apny naalay ko ham na rasaa abas...




Is qadar shokh k Allah sy bhi barham hai,
Tha jo masjood e malaik yeh wohi aadam hai...


Is khamshi main jaayain itny buland naalay,
Taaroon ki qaflay ko meri sada'a dara ho...


Aik he saff main kharay ho gaye mehmood o ayaz,
Na koi banda raha na koi banda nawaz...


Aaghaz ko kon puchta hai,
Anjaam acha ho aadmi ka...


Ab dil hai maqam bai basi ka,
Yun ghar tabah na ho kisi ka...





In ankhun ny kya kya tamasha na deikha,
Haqeeqat main jo deikhna tha na deikha...


Un ankhoon pay qurbaan jaaon jinhoon ny,
Hazaarun hijaabun main parda na deikha...


Ah tahir e laahooti us rizq sy mout achi,
Jis rizq say aati ho parwaz maon kotaahi...


Afsoos dil ka haal koi puchta nahi,
Sub keh rehay hain yeh teri surat badal gaye..


Aa barham he sehi baat toh kr ly ham sy,
Kuch na kehny sy mohabat ka gumaa hota hai...




Apny haatoon ki lakeerain na badalny paaiyeen,
Khush naseeboon sy bohat haat milaye main ny...


Itny pyare aur haseen ho jitna socha ja sakta hai,
Lakin sochny ki bhi had hai akhir kitna socha ja sakta hai...


Aik muddat sy meri maa nahi soyi tabish,
Main ny ik baar kaha tha muje dar lagta hai...


Itny zalim na bano kuch toh murawat seekho,
Tum pay marty hain toh kya maar he daalo gy hamain...



Aihsaas he nahi tha k tanha hn aaj kal,
Tu ny sawal chair k acha nahi kiya...


Idhar aa sitam gar hunar aazmayain,
Tu teer aazma ham jigar aazmayain...


Aasmaanu sy farishty jo utaray jayain,
Wo bhi is dour main sach bolain toh maary jayain...


Ujalay apni yaadoon k hamaray sath rehny do,
Na jaany kis gali main zindagi k shaam ho jaye...


Ik teri barabari k liye,
Khud ko kitna gira chuka hun main...


Aik hun Muslim haram ki pasbaani k liye,
Neel k sahil sy lay k Tabnaak e Kashghar...